Tumhe dekh kar marna chahta hu Poetry by Karan Gautam
Tumhe dekh kar marna chahta hu by -Lekhakrang
Kaha tha tu mujhe hasil karega?
Chal sapna dekh…
Kaha tha tu mujhe hasil karega?
Chal sapna dekh…
Mere aasu poch diye mere chahne valo netu apna dekh
2 Liner Sher
Shikast mili hai harbar zindagi main
Hara hua hu pahle se
Shikast mili hai harbar zindagi main
Hara hua hu pahle se
Bas leja kar dafna do jisam ko mere
Mara hua hu pahle se
Berahmi Bharai Shayari
Mera chota sa aasyana vo berahmi se ujadta Gaya
Mera chota sa aasyana vo berahmi se ujadta Gaya
Pr narajgi Jatana fitrat me nahi mere
Shikayato ko kagjo me likhkar ek ke bad ek fadta Gaya
Thaught
Na teri bahon me so pata tha,
Na rato ki baho main neend aati hai
Pr teri bato main kho jata tha
Ab rato ki bato main ro jata hu
Kitna mahsoos karta hu tumhe khud me
Rom rom tumhara nam le le kar tadapta hai
Ab to zamana bhi badla badla sa kahne laga hai hume
Kase btaou ke seena hamara hai pr Dil tumhara dhadakta hai
Romantic Shayari
Duniya Chode tumhe ek arsa sa ho gya hai
Is bade se aasman me kahin kho gai ho tum
Aaj barish ki ek pyari si boond ne Kan ne chupke se kaha mere ke
Badalo me chupke Aaj fir ro gai ho tum
Khushi ke Aansu 2 Liner Poetry
Tu kya gai zindagi se humne khud ko thaka Diya
Tu kya gai zindagi se humne khud ko thaka Diya
Aashko ko pochte pochte
Bohot hi haseen palo ke lie kuch Khushi ke aasu bacha rakhe the in aankho main
Unhe bhi baha diya tujhe sochte sochte
Mira Ko Murat Me Samana Na Padta -Poetry
Is tarah kahto pr chalkar use dikhana na padta
Is tarah kahto pr chalkar use dikhana na padta
Or Tunhari kasam babu Tumhari kasam karke samjhana na padta
Or samajh jata pyar ko itni aasani se koi to
Mira ko youn moorat me samana na padta
Dub jayega un aankho me tu
Samahalte samahalte bhi tu
Beshak dariyano me kyu na ter rakha ho
Or jab rakh dega Ishq ki raho main kadam apna
Tab pata chalega jase jallado ki basti main per rakha ho
Mukammal karna Ishq Mera ai khuda
Ibadat bhi Roz karega tu
Mukammal karna Ishq Mera ai khuda
Ibadat bhi Roz karega tu
Indaza hoga tujhe uski beintehaa mohabbat ka
Pr wafa pr Shak uski shikayat bhi roj karega tu
Or nahi karta mohabbat Aaj to aansuo se harzana na bharta
Smajh jata pyar ko itni aasani se koi to Meera ko moorat me samana na padta
Abhi umar hi kitni Hui hai teri
Abhi to bohot kuch Janega tu
Or nahi karna Ishq dubara bar bar yahi thanega tu
Ishq hi khuda hai, Ishq hi rab hai
Uski shakal me bhagwan ko bhi pahchanega tu
Manzil bhi, Ishq zindagi bhi or Waqt aane par shamshan bhi isi ko manega tu
Dekar agni pariksha Sita tujhe ijjat ko gavana na padta
Samajh jata pyar ko itni aasani se koi to
Meera ko youn moorat me samana na padta
Zillat bhari ye zindagi dekh kar
Teri palke itna ro jayangi
Sukha samandar lekar, kisi ke janaje par hoga tu or aankhe teri patthar ho jayangi
Unhi patthar aankho ko pighlane vo fir aayangi
Fir jasbato ke sath khilwad hoga
Umede fir kho jayangi
Palko par pahle khwab rakhta tha
Ab aansuo ki kuch boond rakhta hai koi
Aajkal darwaje ko karke band
Kaske ghar ke bahar hi neende rakhta hai koi
Bolchal kisi se nahi hai
koi dost nahi rakhta
Bas kuch dushman rakhta hai pr chuninde rakhta hai koi
Or sare jahan me udkar koi wapas aa jate hai, mujhe bhi dedo agar parinde rakhta hai koi
Tu bhi kabil hota agar insan hota
Pagal Diwana na Banta
Samajh jata mohabbat ko koi itni aasani se
To Meera ko youn moorat me samana na padta
Zamane ke alfaz ab samajh nahi aate
Khudi se bate karne laga hu
tanha hi bathne me sukun milta hai ab to mahfilo me Jane se darne laga hu main
Lagta hai Ishq ke aakhiri padav ko par karne vala hu
Kyuki ek bar nahi ab main har roj Marne laga hu
Or jate jate bhi bas ye fasla karna chahta hu ke bs ek bar dekh Jana mujhe
Tumhe dekh kr marna chahta hu
2 thoughts on “Tumhe dekh kar marna chahta hu Poetry by Karan Gautam”