Best Hindi Motivational Poetry | Seekho Poetry lyrics by Nidhi Narwal
Seekho Poetry Video by Nidhi Narwal
Seekho Poetry ko Nidhi Narwal ne likha hai jo ki ek lekhika hain vah kai mashoor poetry likh chuki hain. Nidhi Narwal ki poetries ko aap youtube pe sun sakte hain or sath hi aap inke live shows me bhi ja sakte hain. Inke live shows ki ticket aap Bookmyshow se book kar sakte hain.
Abhi ke lie aap Seekho Poetry ko padhiyea or iska aanand lijiyea, Hum umeed karte hain ke aap is poetry se bohot kuch naya seekho.
Also Read
Seekho Poetry Lyrics by Nidhi Narwal in English
Kisi se dil lagana seekho,
Kisi pe apne aapko tasalli se lutana seekho,
Pakke vade mat karo
Pakke irrade karo,
Mohabbat karte ho to mohabbat nibhana seekho,
Apni bat pe adjana seekho
Bat sangeen ho to ghabrana seekho,
Mat seekho keval nidar banna,
Kuch cheejo se darjana seekho,
Ye zindagi aasan nahi hoti,
Aasan hoti to kya zindagi hoti?
Is zindagi ko katne ke vaste
Khush rahna seekho, Muskurana seekho,
Had se jada himmat bhi acchi nahi hoti,
Dil tut jaye, koi choot jaye, ya kisi bat pe rona aaye
To aasu bahana seekho…
Agar rona aaye to aasu bahana bhi seekho,
Par waqt ke sath aage badhjana seekho
Jahan pe jarurat ho vaha pe ruk jana seekho,
Kisi phool ko dekh kar khil jana seekho
Or usi phool se mitti me mil jana seekho,
Taro ko dekho, Timtimana seekho,
Chand ko dekho, Apne dag duniya ko dekhana seekho
Koi tumhe ye kahe ke tum use acche lage to uski bat pe pyar se sharmana seekho,
Or koi ye kahe ke tum nakabil ho, Bekar ho,
To us shaksh ko chup karana seekho,
Apnana seekho, Thukrana seekho,
Jahan pe ijjat nahi vahan se uthkar jana seekho,
Yar sath nibhana seekho, Oro ka hi nahi khudka bhi,
Doad ke gale lagana seekho apne apno ko, apne sapno ko or apne dardo ko bhi,
Duniya jo tumpe patthar uchale
Un pattharo se apna ghar sajana seekho,
Magar agar jaroorat aan pade to… Tum bhi patthar uthana seekho
Agar zarurat aan pade to tum bhi bhi patthar uthana seekho
Magar mukammal khwabo ke patthar, lafzo ke patthar
Koi nahi samajhta tumhari bat aise,
Koi nahi samajhta tumhari bat aise, hi apne bat ko tum samjhana seekho,
Unche ghane pedo ki tarah, Tufan me jhuk jana seekho,
Agar Kuch suchme karna hai tumko, To apne ghr ko chod ke aana seekho,
Ghar se dur raho khwabo ke khatir,,Pr yr Maa Bap ka phone uthana seekho,
Bohot choti si hai zindagi
Zindagi me har zaruri shaksh ki sahi jagha banana seekho,
Is zindagi ko zindagi ki tarah bitana seekho,
Kahin pe waqt se jana seekho,
Or Kahin se waqt pe aana seekho,
Ke sahar me gao se aaye hue logo maa bap ke pass ghr jana seekho.
Also Read by Nidhi Narwal
- I Love You T&C Applied Poetry | Best Valentine poetry by Nidhi Narwal
- “Sarhad” Poetry by Nidhi Narwal | Sarhadein ke updar ke poetry | Nidhi Narwal
Seekho Poetry Lyrics by Nidhi Narwal in Hindi
किसी से दिल लगाना सीखो,
किसी पे अपने आपको तसल्ली से लूटना सीखो,
पक्के वादे मत करो,
पक्के इरादे करो
मोहब्बत करते हो तो मोहब्बत निभाना सीखो
अपनी बात पे अडजना सीखो
बात संगीन हो तो घबराना सीखो
मत सीखो केवल निडर बनना
कुछ चीजों से डर जाना सीखो
ये ज़िन्दगी आसान नहीं होती
आसान होती तो क्या ज़िन्दगी होती?
इस ज़िन्दगी को काटने के वास्ते
खुश रहना सीखो मुस्कुराना सीखो
हद से ज्यादा हिम्मत भी अच्छी नहीं होती
दिल टूट जाये, कोई छूट जाये, या किसी बात पे रोना आये
तो आंसू बहाना सीखो…
अगर रोना आये तो आंसू बहाना भी सीखो
पर वक़्त के साथ आगे बढ़जाना सीखो
जहाँ पे जरुरत हो वहाँ पे रुक जाना सीखो
किसी फूल को देख कर खिल जाना सीखो
और उसी फूल से मिटटी में मिल जाना सीखो
तारो को देखो, टिमटिमाना सीखो
चाँद को देखो अपने, दाग दुनिया को देखना सीखो
कोई तुम्हे ये कहे के तुम उसे अच्छे लगते हो, तो उसकी बात पे प्यार से शर्माना सीखो
और कोई ये कहे के तुम नाकाबिल हो, बेकार हो,
तो उस शक्श को चुप करना सीखो
अपनाना सीखो, ठुकराना सीखो,
जहाँ पे इज्जत नहीं वहां से उठकर जाना सीखो
यार साथ निभाना सीखो, औरो का ही नहीं खुदका भी
दौड के गले लगाना सीखो, अपने अपनों को, अपने सपनो को और अपने दर्दो को भी
दुनिया जो तुमपे पत्थर उछाले
उन पत्थरो से अपना घर सजाना सीखो
मगर अगर जरूरत आन पड़े तो… तुम भी पत्थर उठाना सीखो
अगर ज़रूरत आन पड़े तो तुम भी भी पत्थर उठाना सीखो
मगर मुकम्मल, ख्वाबो के पत्थर, लफ्ज़ो के पत्थर
कोई नहीं समझता तुम्हारी बात ऐसे
कोई नहीं समझता तुम्हारी बात ऐसे ही, अपनी बात को तुम समझाना सीखो
ऊँचे घने पेड़ो की तरह तूफान में झुक जाना सीखो
अगर कुछ सचमे करना है तुमको, तो अपने घर को छोड़ के आना सीखो
घर से दूर रहो ख्वाबो के खातिर, यर माँ बाप का फ़ोन उठाना सीखो
बोहोत छोटी सी है ज़िन्दगी
ज़िन्दगी में हर ज़रूरी शक्श की सही जगह बनाना सीखो
इस ज़िन्दगी को ज़िन्दगी की तरह बिताना सीखो
कहीं पे वक़्त से जाना सीखो
और कहीं से वक़्त पे आना सीखो
के शहर में गाँव से आये हुए लोगो, माँ बाप के पास घर जाना सीखो.
Also Read by Karan Gautam
- Tumhe dekh kar marna chahta hu Poetry by Karan Gautam
- Meri nafrat ka andaza laga lena poetry by Karan Gautam | Lekhakrang
Agar aapko hamari “Seekho Poetry by Nidhi Narwal” post pasand aai hai to comment karke hame jaroor bataye sath hi agar aap is poetry ko vide formet main dekhna chahte hain to upr diye video box se dekh sakte hain ya fir Seekho Poetry by Nidhi Narwal ko youtube pe bhi dekh sakte hain.
Nice article, if someone is planning a trip around Pench. Please check Pench jungle safari booking
WOW check out these luxury hotel in Varanasi