Har Ek Sankat Ka Hal Hoga Woh Aaj Nahi Toh Kal Hoga Poetry By Shubham Shyam
Har Ek Sankat Ka Hal Hoga, Woh Aaj Nahi Toh Kal Hoga,
Mana ki hai andhera bohot or charo or nakami hai,
Mana ki thak ke toot rahe or safar abhi durgami hai
Jeevan ki aapa dhapi me jeene ka thikana choot gaya
Mana ki thak gaye sapno ka neendo me aana choot gaya
Mana ki himmat choot gai, aankho me nirasha chai hai…
Mana ki chand pe grahan hai or rat abhi gahrai hai
Pr krishan ke saf kaha hai ke…
Sri krishan ne saf kaha hai ke bas karm tumhara kal hoga…
Or karm agar sacchai hai to karm kahan nisfal hoga…
Har ek sankat ka hal hoga Woh aaj nahi to kal hoga
Loha jitna tapta hai utni hi tagat bharta hai,…
Loha jitna tapta hai utni hi tagat bharta hai,…
Sone ko jitni aag lage woh utha prakhar
nikharta hai, Hire pr jitni dhar lage woh utha
khoob chamakta hai, Mitti ka bartan pakta
hai…Tab dhun pr khoob khanakta hai…
Suraj jasa banna hai to suraj jitna jalna hoga
Nadio sa aadar pana hai to parvat chod nikalna hoga
Hum adam ke bete hain..kyo soche rah saral hogi
Kuch jada waqt lgega pr sangarsh jaroor safal hoga…
Har Ek Sankat Ka Hal Hoga Woh aaj nahi to kal hoga.
cde
Thanks for the comment